Istikharah (Roman)

Istikharah

Hadees shareef main hai keh Allah se Istikharah karna aulaad e aadam ki khushi hai. Aur Allah se Istikharah na karna iski bad bakhti hai . Ek riwayat mein yeh bhi aaya hai keh. Nuqsaan nahi uthata wo shaks jo istikharah karta hai. Aur pareshan nahi hota. Jo koi mashwara kar leta hai aur baaz ahaadith se yeh bhi sabit hai keh

 مِنْ سَعَادَۃِ ابْنِ آدَمَ اَلرِّضَاءُ بِالْقَضَاءِ   

Tarjama – Ibn e Adam ki shahadat mandi marzi e iahi par razi hona hai,

Hazrat Jaabir bin A’bdullah (rehmatullahi a’laih) se riwayat hai. Wo farmate hain keh. RasoolAllah Sallallaahu A’laihi wasallam hum ko tamaam kamoon main Istekara ki taleem is takeed se farmate the. Jaisa keh Quran ki surah ihtemam ke saath sekhlate the. Farmate keh jab kisi ko kisi kaam mein fikar taraddad ho to 2 rakat nafal padhe is ke baad yun kahe. 

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْتَخِيرُكَ بِعِلْمِكَ وَأَسْتَقْدِرُكَ بِقُدْرَتِكَ وَأَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ الْعَظِيمِ فَإِنَّكَ تَقْدِرُ وَلَا أَقْدِرُ وَتَعْلَمُ وَلَا أَعْلَمُ وَأَنْتَ عَلَّامُ الْغُيُوبِ اللَّهُمَّ إِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الْأَمْرَ خَيْرٌ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي فَاقْدُرْهُ لِي وَيَسِّرْهُ لِي ثُمَّ بَارِكْ لِي فِيهِ وَإِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الْأَمْرَ شَرٌّ فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي فَاصْرِفْهُ عَنِّي وَاصْرِفْنِي عَنْهُ وَاقْدُرْ لِيَ الْخَيْرَ حَيْثُ كَانَ ثُمَّ ارْضِنِي بِهِ

Jab aap ( ھذا الامر ) par pohunchein to apne kaam ka dhyaan lagayein.

 

Aap RasoolAllah ( SallalLaahu A’laihi Wasallam ) ne farmaya hai. Keh jis shaks ne kisi kaam ke liye Istikharah kiya. Aur is mein Allah taala ne koi faisla kar diya. ( masalan , wo maqsood poora kar diya ya isse dil ko hata diya ya aise asbaab bana diya jisse wo muamla khud hi hat gaya ). Aur banda is faisle se raazi na ho to yeh iske liye jayiz nahi hai. ( yani bada gunah hai ) jisse tauba karna aur baaz aana wajib hai .

 

استخارہ کے مسائل

Istikharah ke masail 

Istikharah talab khair hai. Talab e khabar nahi. Dua Istekarah kay alfaaz ko bi A’inihii ada karna. Aur jis tarah hadees main warid huwa hai. Isi tarah yaad karna chahiye. Maana bhi yaad ho toh bahot acha hai. Ta kay dil se Izteraar ki kafiyat kay saath ada ho. Istekarah wajbaat ya makrohaat mein se nahi ho sakta. Kyun keh wajib ka baja lana zaruri hai. Aur makroohaat se bachna zaruri hai. Phir Istekharah ka matlab kiya hai? Istikharah sirf mubahaat main kiya jata hai or mustajab mein bhi kiya jaa sakta hai. Jab keh 2 mustajabaat mein se ek ko karna chahiye keh in mein se kaunsa mere liye behtar hai.

Ahem baat mashoor hai keh Istikharah main jis taraf dil maayil ho jaaye usii ko karna chahiye, usii main khair hoti hai.

Yehi baat sahi hai keh Istakharah ke baad dil Allah ki taraf se kisi ek janib mayil ho jata hai . Toh jis janib dil maayil ho jaaye usii jaanib usii kaam ko ikhteyaar karna chahiye. Chahe wo aap ke haq mein ho ya nahi .

Ahem baat keh Istikharah ke baad dil ek janib maayil hoga keh Istekhara se pehle dil ka is janib zyada Mailaan nahi tha.

Toh bazaahir ya alamat is ki hai keh isi janib Ikhteyaar karna chahiye magar yeh wujoob aur Luzoom ki alamat nahi, is liye iske khilaaf bhi ikhtiyaar karna jayiz hai kuch gunah ya zarar ka andesha nahi. Baaz logon ka khayaal hai keh Istikharah ke baad jis janib dil zyada mayil ho is ke Khilaaf karna Jayiz nahi ya is mein zarar hoga galat hai – isi tarah jab tak dil kisi ek taraf mayil na ho Istikharah ko bekaar samajhte hain , yeh bhi sahi nahi hai.

 

Istikharah ki ahmiyat:

Istikhara ka matlab yeh hai keh jab wo jayez ya 2 mustahab kamon mein taraddud ho keh in main se kis ko ikhteyaar karon toh Istikhara karke jis shai ko dil chahe ikhteyaar kare is main zarar na hoga – phir jis shai ko ikhteyaar kar liya is ko haq taala ki tajweez samajh kar is se razi rehna chahiye aur yaqeen rakhna chahiye keh is mein khair zaroor hogi jo meri samajh mein na aayi ho – Istikhara ke baad jis raah ko ikhteyaar kar liya jaye is se nagawari aur narazi aur yeh khayaal keh muje dosri raah ikhteyaar karni chahiye thi isi mein khair hoti , yeh baat bahot buri hai Jis par Hadees mein wayeed warid huwi hai .

استخارہ کا طریقہ    

Tareeqa Istikharah

( 1 ) Baad namaz e Isha 2 nafal ba niyyat istekharah is tarah ada karein keh dono rakat mein baad surah Fatiha surah Yaseen ek baar tilawat kare aur baad az namaz faragat ism e mubarak یَا خَبِیْرُ ( 200) baar padhein is ke baad dahni hatheli (Right palm)par                 (  یَا حَکِیْمُ ، یَا مَجِیْدُ) likhkar sojaaye In sha Allah khwaab mein hidaayat naseeb hogi.

( 2 ) Do rakat namaz ba niyyat e Istekhara ada kare. Baad az namaz   بِسْمِ اللہِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْم 323 baar aur حَسْبُنَا اللّٰہُ وَنِعْمَ الْوَکِیلُ 327 martaba padhein aur sojayein. Gaib se maalumaat hasil ho jaayegi In sha Allah.

( 3 ) Baad az namaz e Isha bawaqt kafeteen ayat mubarka قَالُوا سُبْحَانَكَ لَا عِلْمَ لَنَا إِلَّا مَا عَلَّمْتَنَا ۖ إِنَّكَ أَنتَ الْعَلِيمُ الْحَكِيمُ,  101 martaba padhkar sojayen. Teen shab tak yehi amal karein In sha Allah hidaayat naseeb hogi.

( 4 ) Baad az namaz e isha do rakat namaz ba niyyat e istekhara ada karein phir yeh dua khushoo wa khuzuu ke saath bargahe rabbul A’alameen main karein ,

Dua e Istikhara ye hai ، دعائے استخارہ یہ ہے:

Jab aap ( ھذا الامر ) par pohunchein to apne kaam ka dhyaan lagayein aur is dua ke baad

 یَا خَبِیْرُ اَخْبَرْنِیْ یَا عَلِیْمُ عَلَّمَنِیْ

ka wird karte huwe daayein karwat par sojayein. Jab sokar uthain us waqt dil mein jo baat mazbooti se aaye is par amal karein .

استخارہ Istikharah –

Wudu karke paak kapde pehne aur Qibla ru daahni karwat par lait kar. Surah SHAMS 7 baar surah AL-LAIL 7 baar. Surah IKHLAAS 7 baar padhkar iske baad aajzi se kahen. Aye mere Allah mere khwaab mein wo cheez dikha dey. Aur is kaam ke sar anjaam hone ki tadbeer mere dil mein daal de.

In sha Allah usi raat maloom hojayega warna 7wi raat tak in sha Allah zaroor maloom ho jayega.

استخارہ کی ترکیب Istikharah ki tarkeeb 

Budh , Jumuaraat , aur jumua ki shab بدھ جمعرات جمعہ ki shab ko baad az nama e esha sab kamoon se farig hokar ( Bismillah hir Rah’man niR Rah’eem ) بِسْمِ اللہِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْم

70 martaba padhein aur apne muh aor seene par dum karein aur khuda taala se dua karein ke falaan amar mein jo kuch hone wala hai wo muje khwaab mein ya Onodgi mein kisi awaz dene wale ki aawaz se maaloom karde.Iske baad yeh durood e shareef ( 100 ) martaba padhein . اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلٰی مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰی اٰلِ مُحَمَّدٍ بِعَدَدِ کُلِّ شَیئٍ مَعلُومَ اللَک۔

۔ In sha Allah teen raaton mein maqsad poora ho jayega .

Istikharah ke mukhtalik wazaif:

استخارہ صحیحہ

Istikharah Sahihah :

Baad namaz e isha taaza wudu karke paak bistar par baithen aur nabi kareem  ( Sallallaahu A’laihi Wasallam ) par durood bhejein phir 10 baar surah Fatiha 11 baar surah Ikhlaas aur last mein 3 baar durood e shareef padhkar daahni karwat Qibla ki taraf muh karke sojayein. Agar taabeer samajh mein na aaye toh kisi neik aur samajhdaar shaks se taabeer maaloom karlein

استخارہ

Istikharah :   

Budh , Jumuaraat aur Jumme ki raat ko 2 nafal namaz, Isha k baad ada karein iske baad yeh kalimaat ( 333 ) teen Soo taintees martaba padhein –یَا عَلِیْمُ یَا عَلِّمْنِیْ اِنْ کَانَ مِنْ الْاَحْوَالِ

phir Qible ki taraf muh karke sojayein, kisi se baat na karein Allah taala ke fazal O karam se pehli raat maloom ho jayega , nahi to dosri , ya had 3 din mein har haal mein maloom ho jayega In sha Allah.

عمل برائے استخارہ

Amal baraye Istekharah:

Awwal 11 martaba durood e shareef padhein phir یَا بَدِیْعَ الْعَجَائِبِ  یَا کَاشِفَ الْغَرَآئِبِ ( 1100 ) martaba padhein aur taat ke borya par sojayein lekin is amal ko karne se pahle gusul karein aur paak saaf kapde pehne aur Khushboo lagayen In sha Allah zaroor kamyaabi hogi .

عمل استخارہ

 Istikarah mujarrab:

Isha ki namaz ke baad 2 rakat Nafal padhein aur

( 100 ) baar یا عَلِیمُ عَلِّمنِی  ( 100 ) baar یا رَشِیدُ اَرشِدنِی ( 100 ) baar یَاھَادِیُ اِھْدِنِیْ ( 100 ) baar  

یا خَبِیرُ اَخبِرنِی 

Aur awwal wa akhir koi b dorood shareef ( 100 ) baar padhkar sojayein Inshallah khwaab mein sab haal maloom ho jayega.

نماز استخارہ

Istikharah e Namaz:

Nisf shab ko bedaar ho kar nafal padhein aur donon rakaton main jo bhi surah ya ayatein yaad ho padhein, pakiza kapde pehne aur khushboo lagayen aur namaz se farig hokar sar sajde mein rakhkar darj zeel wazifa padhte huwe sojayein In sha Allah khwaab mein ek Buzurg is bande ki rehnumayi farmayenge.

یَا رَبِّ دُلَّنِیْ عَلَیَّ عَبْدِ مِنْ عِبَادِکَ الْمُقََرَّبِیْنَ حَتّٰی یَدُلَّنَیْ عَلَیْکَ وَیَغْرُضَنِیْ صِدْقُ الْوُصُوْلِ اِلَیْکَ

استخارہ کا مسنون طریقہ 

Istikharah ka Masnoon Tareeqa –

Nabi e paak ( Sallallaahu A’laihi Wasallam ) ka irshaad hai keh jo shaks Allah taala se Istikharah karta hai wo khasara mein nahi rehta. HAZRAT Jaabir Radiallahuanh farmate hain ke Huzoor sarwar e do Aalam hamein istikharah ki taleem is tarah dete the jis tarah QURAN ki taleem diya karte the.

Aap ( sallallaahu a’lihi wasallam ) ne farmaya keh agar koi shaks kisi kaam ka irada kare toh ise ( 2) rakat nafal namaz padhkar yeh dua padhni chahiye

Yeh dua 2 Nafal ke baad padhein aur jahan par  ( ھذا الامر  ) ka lafz hai yahan apna jo bhi maqsad ho wo kahen phir paak saaf bistar par sojayein Inshallah, Allah jalla majduhoo uska dil usi taraf pher dega jo kaam uske haq mein behtar huwa.

استخارہ کا ایک اور مجرب عمل

Istikharah ka ek aur mujarrab amal:

Raat ko sote waqt 6 rakat namaz e istikarah padhein iski tarkeeb ya hai ke pehli rakat mein surah Fatiha ke baad

 ( سورۃ الشمس )  surah SHAMS 7 baar padhein dosri rakat mein Surah Fatiha ke bad سورۃ الیل ) ) surah AL-LAIL 7 martaba Teseri rakat mein  سورۃ الضحی ) )  surah DUHA 7 baar chauthi mein ( سورہ النشرح )  Surah ALAM-NASHRAH 7 baar paanchwi mein  سورۃ التین ) ) TEEN 7 baar aur aakhri mein ( سورۃ القدر ) Surah AL-QADAR padhein.

Namaz se farig hokar Haq taala ki tamheed wa Taqdees k baad yeh dua padhein aur aakhir mein durood e shareef padhkar sojayein.

اَللَّھُمَّ رَبِّ اِبْرَاھِیْمَ وَرَبِّ مُوْسٰی وَرَبِّ یَعْقُوْبَ وَرَبِّ اِسْحٰقَ وَرَبِّ جِبْرَاِئیْلَ وَرَبِّ مِیْکَاِئیْلَ وَاِسْرَافِیْلَ وَعِزْرَاِئیْلَ عَلَیْھِمَ السَّلاَمُ وَمُنَزِّلَ التَّوْرَاۃِ وَالاِْنْجِیْلَ وَالزَّبُوْرَ وَالقُرْآنَ الْعَظِیْمَ اَرِنِیْ فِیْ مَنَامِی اللَّیْلَۃِ مَا اَنْتَ اَعْلَمُ بِہٖ مِنِّیْ

Agar pehli raat jawaab na mile toh dosre, tesre din 7 din tak yeh amal karein Inshallah ho hi nahi sakta ke usko jawaab na milen.

 

Harr museebat ya beemari se nijat k liye Quran aur Hadis ki roshni mai pareshani ka hal haasil karein. Online Istikharah, rohani ilaj aur courses Amil Mohammad Yousuf Sahab k.  Raabte k liye +92-3232344555 ‘WhatsApp’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.