Shadi ka wazifa

Kya aap nikah karna chahte hain? Kya apki shadi me rukawaten hain? Is post me hum apko larki ki shadi ka wazifa Surah Taha in Quran in Urdu in Ramadan ke bare me batayenge.


Shariat e Islamiya mein nikah ek deeni aur mazhabi amal aur ek gehra akhlaqi wa qalbi talluq hai. Shadi ka wazifa jaldi nikah duaMard wa aurat mein ulfat aur yaghaniyat aur miya biwi mein bahami munasibat ka pakiza rishta hai. Iska asal maqsad yeh hai keh mard wa aurat ke meil milaap se ek kamil aur khushgawar zindagi wajood mein aaye aur nasal insani ka silsila bhi hudood e ilahi ke nigrani ke darmiyan badhta, phulta phalta rahe. Nikah insan ko gunah se bachata hai. Neik shaks se nikah karne se aada imaan ki hifazat hoti hai. Jo shaks aurat ka naan nafqa dene ki qudrat rakhta ho use chahiye ke nikah kare. Yeh sunnat hai. Aur jo mard iski qudrat nahi rakhta use chahiye ke roze rakhein. Roze rakhne se jinse khwaishaat qabu mein rehte hain.

Agar aapke koshish ke bawajud apko koi acha rishta nahi milraha ya nikah mein bohat rukawatein horahi hain toh is masle ke hal ke liye kuch Islami dua aur wazaif apke liye bataye gaye hain.

Shadi ka wazifa in Quran:

Quran e Pak ki mandarja zeel ayat ko kisi khas muqarrara waqt aur jagah par wazifa ke taur padhne se maqsad hasil hojayega. Shadi ka wazifa in Quran ka tareeqa darj zeel hai:

”Hasbiyallahu laa ilaaha illaa huwa a’laihi tawakkaltu wa huwa rabbul a’rshil a’Zeem”

حَسْبِيَ اللّهُ لَا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ ۖ عَلَيْهِ تَوَكَّلْتُ ۖ وَهُوَ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ

(Surah Tauba verse-129)

 

  • Awwal 19 martaba BISMILLAH padhein.
  • Phir 1100 martaba ye ayat padhein.
  • Phir DUROOD e SHAREEF 100 martaba padhein.
  • Aakhir me BISMILLAH 19 martaba padhein.
  • In sha Allah jald shadi hojayegi.

Shadi ka wazifa in Urdu:

Jo shaks nikah ka khwaishmand ho woh shadi ki dua aur shadi ka wazifa in Urdu ka yeh amal karein. Iska tareeqa darj zeel hai :

  • Raat mein isha ki namaz ke baad ek khali kamre ka intekhab karein jahan koi aata jata na ho.
  • Do zaanu baithkar dono aankh band karke naak se saans lein aur muh band rakhein. 10 minute tak isi tarah karein. Isse apke din bhar ke khayalat door hojayenge.
  • Phir apne maqsad par gaur karte huwe lafz “ALLAH” ka wird karte huwe saans andar lein aur tasawwur karein keh Ism e mubarak “ALLAH” apke dil ko raushan kar raha hai.
  • In sha ALLAH chand dinon mein apka maqsad poora hojayega.

Shadi ka Wazifa in Quran in Urdu:

Jald se jald shadishuda hojane ke liye shadi ki wazifa in Quran in Urdu ka yeh amal karein. Iska tareeqa yeh hai:

  • Har namaz ke baad Ism e zaat “ALLAH” 313 martaba padhein.
  • Yeh wazifa karte waqt paak saaf kapde pehene aur namaz ki pabandi husool e kamyabi ke liye shart hai.
  • Is amal ko 41 dino tak karein.
  • In sha ALLAH maqsad poora hojayega.

Shadi ka wazifa Surah Taha:

Agar aap nikah karna chahte hain aur agar apki koshish ke bawajod koi rishta tai nahi horaha ho toh Shadi ka wazifa Surah taha hone ke liye Taweez ka yeh amal karein. Shadi k amal ka tareeqa yeh hai:

  • Pehle Wudu karlein aur ek paak saaf kaghaz lein.
  • Surah Al-Nahl Ki ibtedayi 16 Aayaat saaf kaghaz par mushk aur zafraan se likhkein.
  • Phir ise galey mein baandh lein.
  • In sha ALLAH jald shadi hojayegi.
Larki ki Shadi ka wazifa:

Jaldi nikah ke liye surah juma ka larki ki shadi ka wazifa karne ka tareeqa yeh hai :

  • Ba-wuzu hokar 11 martaba Durood-e-Shareef padhein.
  • Surah juma 21 martaba padhein.
  • Durood-e-Shareef 11 martaba padhein.
  • Apne shadi ke liye dua karein.
  • Is amal ko musalsal 11 dino tak karein.
  • In sha Allah, acha rishta aajayega.
Shadi ka wazifa in ramadan

Yeh amal uske liye hai jo umrah karne ki istitaat rakhta ho. Yeh Shadi ka wazifa in ramadan hai. Is amal ki barkat se jaldi shadi hojayegi.

  • Jab woh Kaaba Shareef ke paas pohunche aur pehli martaba ziyarat kare tab apni shadi ke liye dua kare.
  • Huzoor (sallallahu a’laihi wa sallam) par Durood bheje.
  • Surah Fatiha 7 martaba, Surah Ikhlaas 11 martaba aur Quran shareef se 7 salaam padhein.
  • In sha ALLAH uski muraad zarur poori hogi.

Harr museebat ya beemari se nijat k liye Quran aur Hadis ki roshni mai pareshani ka hal haasil karein. Online Istikharah, rohani ilaj aur courses Amil Mohammad Yousuf Sahab k.  Raabte k liye +92-3232344555 ‘WhatsApp’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.