Family tree of the Prophet Mohammad peace be upon him- Huzoor sallallahu a’laihi wa sallam ka nasab naama

Rasool e Akram sallallhu a’laihi wa sallam ka naama

RasoolAllah sallallahu a’laihi wa sallam ne irshaad farmaaya mai kaun hun? Sab ne arz kiya ap ALLAH ke rasool hain. Aap sallallahu a’laihi wa aalihi wa sallam ne farmay mai Mohammad bin A’bdullah bin A’bdul Mutallib hun. ALLAH taala ne makhlooq ko paida kiya aur is makhlooq mein se behtareen makhlooq (insaan) ke andar mujhe paida farmaya aur phir is behtareen makhlooq ke do hisse (arab wa ajam) kiye aur in dono mein se behtareen hissa arab mein mujhe rakhkha aur phir ALLAH taala ne us hisse ke qabaail banaye aur inme se behtareen qabeela (Quraish) ke andar mujhe rakha aur phir is behtareen qabeela ke ghar banaye toh mujhe behtareen ghar aur nasab (banu haashim) mein rakha. ۔(ترمذی، السنن، 5: 543، رقم: 3532)

Is hadith mein aaqa a’laihissalam ne apni nabuwwat wa risalat aur ahkaam e shariat ka tazkirah nahi kiya balke, balke sirf apni zaat, apni wilaadat, apne nasab, apne gharane, apne aaba wa ajdaad aur apne qabeela ka tazkirah kiya. Yeh saara bayan milad e mMustafa sallallahu a’laihi wa aalihii wa sallam par mushtamil hai.

Aur ek jagah par ALLAH ke pyare Rasool sallallahu a’laihi wa sallam ne irshad farmaya:

Mere walidein se lekar hazrat Aadam a’laihissalam tak mere poore nasab mein kisi ek jagah bhi daur jaahiliyyat ki aaloodgi ne nahi chuwa.

Mere walidein islam ke nikah ke rishte mein judte rahe (aur isme koi najaiz rishta hazaron saal ki tareekh mein na huwa).(بغوی، تفسير، 2: 341)

Ek aur hadith mein hai: ALLAH taala ne hazrat Ismaail a’laihissalam ki aulad mein kinanah ko fazeelat di, aur kinanah mein se Quraish ko fazeelat di aur Quraish mein se banu haashim ko fazeelat di aur banu haashim mein se mujhko fazeelat di.

(مسلم، الصحیح، کتاب الفضائل، بَابُ فَضْلِ نَسَبِ النَّبِيِّ ﷺ 4:1782، رقم: 2276)

RasoolAllah sallallahu a’laihi wa sallam mera tawallud nikah se raha hai. Hazrat Aadam a’laihissalam se lekar apne walidein kareemein tak jitni pushtein guzari ahin har pusht par har nasal mein jo mere aabaa wa imhaat the unka silsilah tawallud nikah se raha hai.

(طبرانی، الأوسط، 5: 80، رقم: 4728)

Safah yani mere poore silsila nasab mein kahin bhi badkari nahi rahi aur yeh rishta nikah ki taharat Aadam a’laihissalam se lekar mere walid Hazrat A’bdullah radiallahu a’nhu aur meri walida Hazrat Aamina keh rishte azdwaaj tak qayam rahi. Poore nasab ko ALLAH paak ne nikah ke muqaddas talluq mein piroya hai aur daur safah aur daur jaahiliyyat ki kharabi se paak rakha hai. Aur woh paak wa taahir sajra yeh hai

Hazrat Mohammad sallallahu a’laihi wa sallam bin A’bdullah bin A’bdul Mutallib bin haashim bin A’bd Munaaf bin Qaais bin Kilaab bin Murra bin Kaab min luwai bin Ghalib bin Fahr bin Malik bin Nazr bin Kinana bin Khuzaima bin Mudrika bin Ilyas bin Muzar bin Nazaar bin Maad bin A’dnan.

A’dnan tak ke nasab naama ki sehat par tamam muh’addiseen , seerat nighaaron aur ulamaye insaab ka ittefaq hai. Albatta A’dnan se upar Naabat bin Ismaail A’laihissalam ka sajra nasab jo keh mehfooz nahi raha yun bataya jata hai.

A’dnan bin Aad bin Naah’oor bin Tayyirah’ bin Ya’rub bin yashjab bin Naabit bin Ismaail A’laihissalam bin Ibrahim Khaleelullah A’laihissalam (Ba h’awalah : Seerat Ibn e haashim Saheeh Al Bukhari Kitab Al Manaqib Baab Mubas An Nabi Sallallahu a’laihi wa sallam)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.