Significance of Eid Al Fitr

Significance of Eid Al Fitr In Islam and its sunnah method in Urdu 


Significance of Eid Al Fitr

Eid al-Fitr , (“feast of breaking of the fast”) is an important religious holiday celebrated by Muslims worldwide that marks the end of Ramadan, the Islamic holy month of fasting (sawm). The religious Eid (Muslim religious festival) is the first and only day in the month of Shawwal during which Muslims are not permitted to fast. The holiday celebrates the conclusion of the 29 or 30 days of dawn-to-sunset fasting during the entire month of Ramadan. The day of Eid, therefore, falls on the first day of the month of Shawwal. The date for the start of any lunar Hijri month varies based on the observation of new moon by local religious authorities, so the exact day of celebration varies by locality.

Significance of Eid Al Fitr in Islam

Significance of Eid Al Fitr has a particular Salat (Islamic prayer) consisting of two Rakats (units) and generally offered in an open field or large hall. It may be performed only in congregation (Jama’at) and has an additional extra six Takbirs (raising of the hands to the ears while saying “Allāhu Akbar”, literally “ALLAH is the greatest”), three of them in the beginning of the first raka’ah and three of them just before Ruku’ in the second raka’ah in the Hanafi school of Sunni Islam. Therefore, other Sunni schools usually have twelve Takbirs, seven in the first, and five at the beginning of the second raka’ah. Muslims continue t0 fast until the last day of Ramadan and pay the Zakat and fitra before offering the Eid prayers.

Sunnah of Eid ul fitr:

Significance of Eid Al Fitr

  1. To rise early in the morning.
  2. Take a full bath.
  3. Clean the teeth.
  4. Wear the best clothes that he had.
  5. Wear perfume.
  6. To eat something sweet like dates before leaving home.
  7. To give sadqa e fitr before eid prayer
  8. Go to the Eid prayer location very early. (The Prophet used to offer Eid prayer in a central location instead of offerring it in a mosque of a locality without any legitimate excuse).
  9. The Prophet used to go to the Eid Prayer location by one route and would return through another route.
  10. He peace be upon him used to go for Eid on foot.
  11. He peace be upon him used to chant slowly on the way to the Eid prayer location the following words: “Allahu Akbar, Allahu Akbar, Laa ilaaha illallahu Wallahu Akbar, Allahu Akbar, Wa lillahil Hamd.” (Translation: Allah is the greatest, He is the greatest. There is no god except Allah. He is the greatest. All praises and thanks are for Him)
Method of Eid prayer

Significance of Eid Al Fitr prayer consists of two units of prayer (Rakas) with six Takbeers (the raising of the hands while saying Allahu Akbar [God is the Greatest]) in the congregation, followed by the Khutba (sermon) of Eid.

  • Follow the Imam by raising both hands up to the ears, say Allahu Akbar, this is the first Takbeer to enter in the Salat.
  • Then fold your hands in the front and recite the ‘Sanaa’, (“subhaanakallahumma..). till the end, and
  • Then say Allahu Akbar thrice, following you imam, each time raising both hands up to the ears and dropping them. Afterwards, each takbeer there is going to be a slight pause in which Subhanallah may be recited thrice.
  • After the third Takbeer the hands should be folded in front and listen to the imam reciting Aoozubillah, Bismillah, Surah Fateha and some other Surah and
  • Then perform Ruku (bowing) as Imam says Allahu Akbar and
  • Then go to Sajdah (prostration) as usual following your Imam’s Takbeer.
  • In the second Raka, the Imam will first recite Surah Fateha and some other Surah. Then he will say three Takbeers after it. In all of these three Takbeer’s hands will not be folded but dropped after each Takbeer. And
  • Then go into the Ruku just after the fourth takbeer.
  • Listening to the Khutbah after the Eid Salaat is Waajib (obligatory).

Sadqa Fitr:

Sadqa e fitr is compulsory upon every free, adult muslim Possessing the quantum (nisaab) for Sadaqah al-fitr. Its time starts after breaking the last fast of Ramazan. It must be given before offering eid prayer.

Eid Al Fitr ka tarruf:

Significance of Eid Al Fitr aalam e islam ka ek mazhabi tehwar hai. Jo maahe Ramazan ul mubarak ke ikhtitaam ki nishaandahi karta hai. Aur har saal badi aqeedat wa josh wa kharosh se yakkum shawwal ko manaya jata hai. Jabke shawwal islami calendar ka daswan mahina hai. Eide arabi zabaan ka lafz hai jiske mana khush, jashn, farhat aur chahal pahal ke hain. Jabke Fitr ke mana roza kholne ke hain yani roza todna ya khatam karna. Eid-ul-Fitr ke din rozon ka silsilah khatam hota hai. Is roz ALLAH taala bandon ko roza aur ibaadat e Ramazan ka sawab ataa farmate hain. Lihaza is tehwar ko Eid ul Fitr qarar diya gaya hai.

Eid ke rusumaat aur eid ki sunnatein:

Musalmanon ka ek dosre ko Eid Mubarak kehna aur garam joshi se ek dosre se na sirf milna balke aapas mein mard hazaraat ka mardon se baghal ghair hona . Rishtadaron aur doston ki aaobhagat karna shamil hain. Iske alawa bade budhe, bache aur jawan naye naye kapde pehena karte hain aur khushi ka izhar karte hain, ek dosre ki dawat karte hain, mukhtalif qism ke khane pakaye jate hain aur jagah jagah mailein munaqid hote hain. Khususi taur par musalman subah sawere suraj nikalne se pehle bedaar hote hain aur namaz fajr ada karte hain phir din chadhe namaz e Eid se pehle kuch meetha ya phir khajoorein khatein hain jo sunnate Rasool hai. Aur us din roza ke na hone ki alaamat hai.

Eid ki sunnatein:
  • Ghusl karna.
  • Miswak karna.
  • Apne kapron me se umda libaas pehnna.
  • Khushbu lagana.
  • Subah boht jald uthna.
  • Eidgah jaldi se jaldi pohunchna.
  • Eidgah jaane se pehle koi meethi cheez (khujoor) waghera khana.
  • Eidgaah jane se pehle fitra ada karna.
  • Eid ki namaz eidgah mein hi ada karna.
  • Eidgah aane or jaane ke liye rasta tabdeel karna.
  • Agar zyada door na ho to paidal jaana.
  • Namaz e eid ke liye jate huwe takbeer parhna:

ALLAH O AKBAR ALLAH O AKBAR
LA ILAHA ILLALLAH
WALLAH O AKBAR
ALLAHO AKBAR
WA LILLAHIL HAMD

Eid ki namaz ka waqt:

Eid ki namaaz ka waqt suraj ke ek neza ke barabar buland hone se zahwa e Kubra tak hai. Zahwa e Kubra ka subah saadiq se ghuroob e aaftaab tak ke kul waqt ka nisf poora hone par aaghaz hota hai. Har namaz ke ada karne se pehle azaan ka diya jaana aur iqamat kehna zaruri hai magar Eid ki namaz ko azaan aur iqamat se mustasna rakha gaya hai jabke us namaz ki sirf do rakaat hoti hain. Pehli rakat mein sana ke baad aur dosri rakat mein Qiraat e surat ke baad haath uthakar 3,3 zaid takbeerein sunnat hain. Eid ul Fitr ki namaz ke mauqa par khutba eid ke alawa insaniyat ki bhalayi aur aalam e islam ke liye khususi duayein ki jati hain Jisme ALLAH taala se kotaahiyon aur gunahon ki muafi maangi jaati hai.

Eid ki namaz

ALLAH taala se uski madad aur rahmat maangi jaati hai. Iske alawa khutba eid mein Eidul Fitr se mutalliq mazhabi zimmadariyon ki talqeeen ki jaati hai jaise fitrana ki adaayegi waghaira. Iske baad dua ke ikhtetam par aksar log apne daayein baayein baithe huwe musalman bhayiyon ko Eid Mubarak kehta huwe gale milte hain. Namaz ki adaayegi ke baad log apne rishtedaron, doston aur jaan pehchaan ke tamam logon ki taraf mulaqat ki gharaz se jaate hain jabke kuch log apne azeezon aur doston ki qurbani ki ziyarat ke liye qabristan ki taraf jaate hain.

Shawwal yani eid ka chand nazar aate hi Ramazan ul Mubarak ka maheena apne ikhtitam ko pohuncta hai jabke har ek musalman ki zuban se be ikhtiyar ALLAH ki azmat aur shaan ke alfaaz jaari hojate hain. Yani aahista aawaz se tkbeerein kahi jaati hai:

اَللّٰہُ اَکبَرُ اَللّٰہُ اَکبَرُ، لَااِلٰہَ اِلَّا اللّٰہُ،وَ ا للّٰہُ اَکبَرُ اَللّٰہُ اَکبَر، وَ لِلّٰہِ الحَمدُ

Takbeer kehne ka yeh silsilah namaz Eid ada karne tak chalta hai. Eid ki namaz ada karne se pehle har sahib istitaat musalman mard wa aurat par sadqa fitr ya fitrana ada karna wajib hai jo maah e Ramazan se mutalliq hai. Mandarja zeel chand baatein bohat zyada ahmiyat ki hamil hai.

Sadqa Fitr:

Sadqa fitr har sahib nisaab musalman mard, aurat, aazaad, aaqil, baaligh par wajib hai. Sadqah fitr sawa do (2.25) kg gandhum, 3.50 kg jewn, khajoor ya kishmish mein se jo cheez zeir istemal ko, wohi deni chahiye ya unki jo qeemat banti hai. Lekin namaz Eid se pehle Ada karna sunnat hai. Sadqa fitr ada karne ka waqt aakhri roza iftar karne ke baad shuru hota hai . Jabke iske miqdaar mandarja bala cheezon ki suraton mein se hai albatta unke alawa uske barabar qeemat naqdi ki shakal mein bhi ada ki jasakti hai jiska tayyun maqami taur par kiya jata hai aur zyada tar madaris mein ada kar diya jata hai ya phir maqami zaruratmandon gurabaa aur masaakeen, bewaon mein taqseem kar diya jata hai.

Tareeqa Sadqa fitr

Islami riwayaat mein Eid ul Fitar maahe Ramazan ul Mubarak ke ikhtetam ki ek alamat hai. Jabke aqwaam e aalam mein muslim umma eid ka tehwar bade shandaar andaz mein manate hain. Aj poori dunya mein musalman badi dhoom dhaam se eid ul fitar ka tehwar manate hain. Jahan khushi manane ke saath saath islami akhlaqi iqdaar ki paasdari bhi ki jati hai. Jabke aqwam aalam ummat muslimah ke is tehwar ko badi qadar ki nigah se daikhte hain. Pakistan mein jo ek islami nazariyati mumalikat hai eid bade shandaar tareeqe se manayi jati hai. Sarkari taur par aam tateel hoti hai. Bacha ho ya bada eid ki tayyari mein josh wa kharosh ka pehelu shamil hota hai. Eid ki tayyari mein naye libaas wa deegar lawazimaat ki shopping daikhne ko aati hai jo ek zinda qaum ke taur par saamne aati hai.

 

Get instant solution to your problems and diseases in light of the holy Quran and Hadith.  Online Istikhara, spiritual treatment, and courses by Amil Mohammad Yousuf Sahab.  Contact us +92-3232344555 ‘WhatsApp’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.