Yeh post faalnama nikalna kaisa | faalnama ki haisiyat islam mein kya hai is baare mein hai. This post is on the status of palmistry in islam | soothsaying reality.
FAALNAMA KI HAISIYAT ISLAM MEIN:
Aaj hum faal nikalne ki sharayi haisiyat | faalnama ki haisiyat islam mein | faalnama nikalna kaisa hai? inke baare mein batayenge. Sadrul afaazil Hazrat A’llama maulana sayyid Mohammad Naeemuddeen muraadabadi reh’matullahi a’laih likhte hain zamana jahiliyyat ke log jab safar ya jang ya tijarat ya nikah waghaira ke kaam karte toh woh teen teeron se paanse dalte aur jo nikalta uske mutabik amal karte aur isko ALLAH ka hukum jaante, in sabse mana farmaya gaya. (خزائن العرفان،ص۷۰۲)
FAALNAMA NIKALNA KAISA
3 teeron mein se ek par likha hota : Amarni rabbi (Yani mujhe mere rab ne hukum diya). Dosre par : nahaani rabbi (Yani mujhe mere rab ne roka). Aur teesre teer par kuch na likha hota.
Agar pehla teer nikalta toh woh kaam karliya karte, agar dosra nikalta toh us kaam se ruk jaate aur agar teesra nikalta toh dobara paanse dalte. In teeron aur is tarah ki dosri cheezon ka istemal jaiz nahi.
Baaz log Quran majeed ka koi bhi safah kholkar sabse pehli aayat ke tarjume se apne kaam ke baare mein apni marzi ka mafhoom lekarke faal nikalte hain. Is tarah faal nikalna najaiz hai. Qurani faal, faal daniyaal aur is tarah ki deegar faal jo fee zamana nikali jati hain neik faali mein nahi aatin balke unka bhi wohi hukm hai jo paanson (haram kaam) ke teeron ka hai lihaza yeh najaiz hain. Aur Quran e paak se badshuguni lena makrooh e tehreemi hai.
Faal kholne ke baare aala hazrat ka fatwa: Mere aaqa aala hazrat, imam e ahle sunnat, mujaddid e deen o millat maulana shah imam Ahmed Raza khan a’laihi reh’maturrah’man se aise shaks ke baare mein suwal kiya gaya keh jo shaks faal kholta ho logon ko kehta ho: tumhara kaam hojayega ya na hoga, yeh kaam tumhare waaste acha hoga ya bura hoga isme faida hoga ya nuqsaaan toh aala hazrat reh’matullahi a’laihi ne jawab diya “ Agarche yeh ahkaam yaqeen ke saath karta ho jab toh woh musalman hi nahi, uski tasdeeq karne wale ko saheeh hadith mein farmaya: :فَقَدْ کَفَرَ بِمَانُزِّل عَلٰی مُحَمَّدِِ
Yani usne us cheez ke saath kufr kiya jo Mohammad sallallahu a’laihi wa sallam par utari gayi.
STATUS OF PALMISTRY IN ISLAM
Today we will tell you regarding status of palmistry in islam | soothsaying reality | and regarding Palmists/ soothsayers or fortune tellers. Hazrat A’llama maulana sayyid Mohammad Naeemuddeen muraadabadi rehmatullali a’laihi writes, The people during time of ignorance for beginning any journey, war, business or marriage used to flip arrows and make decisions on the basis of these arrows and would believe this to be the command of ALLAH. It is not permissible to do all such acts.(خزائن العرفان،ص۷۰۲)
SOOTHSAYING REALITY:
Out of three arrows on one, they would write : Amarni rabbi (Means My Lord commanded me). On second arrow they would write nahaani rabbi (Means My Lord stopped me). And on the third arrow, nothing would be written.
If first arrow comes out after flipping they used to do the work, if second came out they used to stop themselves from doing that work and if third came out once again they used to do flipping.
So, few people open some random page from Quran Shareef and see the translation of the first line and interpret its meaning for their work according to their wish. However, to interpret the decisions of our work from the verses of Quran Shareef is illegal. Therefore, all such kind of acts which have arisen nowadays is similar to using arrows for taking decisions and are illegal. Moreover, to take the meaning of misfortune from Quran Shareef is unlawful and a sin.
Fatwa of Aala Hazrat on Soothsaying:
Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan alaihi rehmaturrah’man. Once was asked regarding the one who sees palms and tells the fortune of people. As their work would complete or not, that work would be good for them or not. There will be benefit or loss from it. Aala Hazrat reh’matullahi a’laih replied. If he(soothsayer) says all that with certainty then he is not at all a muslim. For such person, it is stated in Hadith that فَقَدْ کَفَرَ بِمَانُزِّل عَلٰی مُحَمَّدِِ
Get instant solution to your problems and diseases in light of the holy Quran and Hadith. Online Istikhara, spiritual treatment, and courses by Amil Mohammad Yousuf Sahab. Contact us +92-3232344555 ‘WhatsApp’