Eid Al adha significance

This post is on Eid Al Adha significance | what is takbeere tashreeq | sacrifice rulings. Is post mein bakra eid ke mutalliq qurbani ke masail, eid ki namaz ka tareeqa waghaira ka bayan hai.

Eid Al adha significance

eid ul adha mubarak images

Eid al Adha or “Festival of Sacrifice” or “Greater Eid” is an important religious holiday celebrated by Muslims all over the world to commemorate the willingness of Hazrat Abraham (Ibrahim) a’laihissalam to sacrifice his son Ismaeel as an act of obedience to ALLAH, before ALLAH intervened to provide him with a ram to sacrifice instead. The meat is divided into three parts: the family retains one-third of the share, another third is stored and the other third is given to the poor and needy. 

Eid Al Adha begins with a prayer followed by a sermon. This is celebrated annually on the 10th day of the 12th and the last Islamic month of Dhu al-Hijjah of the lunar Islamic calendar. Eid al-Adha celebrations start after the Hajj, the annual pilgrimage to Mecca in Saudi Arabia by Muslims worldwide. The date is approximately 70 days (2 months and 10 days) after the end of the month of Ramadan. Ritual observance of the holiday lasts until sunset of the 13th day of Dhu al-Hijjah.

Dua Eid Al adha significance

The Dua Eid Al adha significance

Days of Tashreeq: Days during which takbeere tashreeq is to be recited is from 9th zilhijja to 13th zilhijja i.e. 5 days. 

It is wajib for every adult muslim to recite the Takbeeraat-e-Tashreeq audibly after every fardh salaat from the fajr of 9th Zil Hijjah to the Asr of 13th Zil Hijjah (23 salahs) . Men must recite in audible voice and women must recite in a low voice. It is wajib to recite atleast once after every salah during days of tashreeq. The words of takbeere tashreeq are: 

اَللّٰہُ اَکبَرُاللّٰہُ اَکبَرُ لَااِلٰہَ اِلَّا اللّٰہُ وَاللّٰہُ اَکبَرُ ولِلّٰہِ الحَمدُ . (Translation): ALLAH is the Greatest, ALLAH is the greatest, there is no God except ALLAH and ALLAH is the greatest and all praises onto him.

Rule Eid Al adha significance

The rule eid al adha significance is as follows:

Age of Sacrificing Animal:– The age of sacrificing animal should be as follows. If age is less then below mentioned then the sacrifice is not correct.

  • Camel atleast 5 years.
  • Cow, Buffalo atleast 2 years.
  • Sheep, goat atleast 1 year.

Note: If the age of lamb is less than 1 year but it looks big and when placed among the lambs of 1 year looks same as them, then its sacrifice is also correct.

Invalid Eid Al adha significance 

The invalid Eid Al adha significance

  • Such an animal whose any part of the body has got separated or cut.
  • The very weak animal which cant even walk to the sacrificing place.
  • Lame animal

Maximum 7 persons can take part in sacrifice for camel, cow, and buffalo whereas partition cannot be done in sheep, goats, ram, etc. All the sacrifiers must make the intention of sacrifice. If only the intention of getting meat is made then the sacrifice will go in vain. The intention of all the people taking part in sacrificing a cow, buffalo or camel should be of sacrifice, even if anyone of their intention is of meat then the sacrifice will not be accepted, everyone’s sacrifice will go in vain.

BAKRA EID | QURBANI KE MASAIL | EID KI NAMAZ KA TAREEQA

Dosri eid ko qurbani ki wajeh se eid ul Adha (yani qurbani ki eid) kaha jata hai jo keh har saal zil hijja ke mahine ki daswin tareekh ko manayi jati hai. Is eid ko badi eid isliye kehte hain keh yeh 3 din tak hoti hai. Eid ul Adha ke din karne wale sawab wale yeh hain:

  • Miswaak karna
  • Ghusl karna
  • Khushboo lagana
  • Apne paas maujood sabse acha libas pehenna.
  • Ek raaste se jana aur dosre raaste se wapas aana.
  • Eidgaah tak paidal jana.
  • Buland aawaz se takbeer kehna.
  • Namaz ke baad khana, peena, nashta karna, behtar hai ke qurbani ke ghost se iftaar karein. (Namaz se pehle kuch na khana sunnat hai).

Bakra eid :

Eid ke roz eid ki namaz se qabl ghar mein ya eidgaah mein koi bhi namaz padhna acha nahi hai, albatta ghar mein qaza namaz padhsakte hain.Eid ki namaz ka waqt: Eid ki namaz ka waqt suraj ke achi tarah nikal aane se shuru hota hai aur dhalne tak rehta hai. Agar namaz eid ke dauran suraj dhal gaya toh eid ki namaz toot jayegi.

Jaisa keh pehle zikr kiya jachuka keh eidul Adha 3 din hoti hai isliye agar eidul Adha ki namaz kisi wajeh se zul hijja ki 10 tareekh ko na padhi jaasaki toh 11 zul hijja ko aur agar 11 ko bhi na padhi jasaki toh phir 12 zul hijja ko padhi jasakti hai. Iske baad nahi padhi jasakti. Yeh hukum bohat saare logon ki ek saath namaz ka hai agar kisi ek akele aadmi ki namaz eid rehgayi toh woh kisi bhi din akele namaz eid nahi padhsakta. Bina kisi sharayi majboori ke eid ki namaz dosre din padhna gunah hai.

Namaz eid ki niyyat: Mai is Imam ke peeche 2 rakat namaz eid wajib ma’aa 6 zayid takbeeraat ke padhne ki niyyat karta hun.

Eid ki namaz  ka tareeqa:

Eid ki namaz do rakat hai. Aam namaz aur eid ki namaz mein yeh farq hai keh isme 6 takbeerein zyada kahi jaati hain. Takbeere tehreema yani pehli takbeer ke baad haath baandhkar sana padhi jayegi, phir do takbeerein kehte huwe haath kaanon tak uthakar chod diye jayenge.

Aur phir teesri takbeer kehte huwe haath kaanon tak uthakar baandh liye jayenge. Phir imam saheb ba aawaze buland Surah Fatiha aur koi aur koi aur surat padhenge. Phir ruku aur sajda jaisa keh baqi namazon mein ada karte hain isi tarah karenge. Dosri rakat mein imam saheb ke ba aawaze buland Surah Fatiha aur koi surat padhne ke baad ruku mein jaane se pehle imam saheb ki tarah main 3 takbeer kehte huwe haath kaanon tak uthakar chod diye jayenge aur phir chauthi dafa takbeer kehte huwe ruku kiya jayega. Do takbeeron ke darmiyan itna waqfa karna acha hai keh jisme 3 martaba tasbeeh (Subhaana Rabbial a’alaa) padhi jasake. Eid ki namaz ke baad imam saheb jumua ki tarah do khutbe denge jo sunna wajib hai.

Ayyam e tashreeq aur Takbeerat e Tashreeq kya hai ?  :

Takbeerat e Tashreeq aur Ayyam e Tashreeq kehna: Tashreeq ka matlab hai ghost ko dhoop mein khushk karna, takbeer ka matlab hai ALLAHU AKBAR, Ayyam, yaum ki jama hai jiska matlab hai din. Takbeerat e tashreeq ka matlab huwa woh takbeerat jo ghost khushk karne ke dinon mein kahi jati hain.

Ayyam e Tashreeq: Ayyam e tashreeq 9 zil hijja se lekar 13 zil hijja tak 5 din hain.

Takbeerat e tashreeq 9 zil hijja ki namaz e fajr se lekar 13 zil hijja ki namaz asar tak har farz namaz ke baad mard buland aawaz aur aurat halki aawaz mein padheinge. Tashreeq ke dinon mein har farz namaz ke baad ek baar takbeere tashreeq kehna har namazi par wajib hai. Takbeerat e tashreeq ke alfaz ye hain: اَللّٰہُ اَکبَرُاللّٰہُ اَکبَرُ لَااِلٰہَ اِلَّا اللّٰہُ وَاللّٰہُ اَکبَرُ ولِلّٰہِ الحَمدُ

Tarjama: “Allah sabse bada hai, Allah sabse bada hai, Allah ke siwa koi ibadat ke layaq nahi aur ALLAH sabse bada hai, ALLAH sabse bada hai aur tamam tareefein ALLAH hi ke liye hain”.

Qurbani:

Eid ul Adha ki namaz ke baad sahibe maal log ALLAH ki raah mein gaaye, bhains, bhaid, bakri ya oont sirf ALLAH ki riza ke liye zubeh karenge.

Tareekhi pas manzar:

Kisi halal janwar ko ALLAH taala ki khushi hasil karne ki niyyat se zubeh karna qurbani kehlata hai. Sabse pehli qurbani hazrat Aadam a’laihissalam ke do beton habil aur qabil ne di. Qurbani ke qubool hone ya na hone ki pehchan pehle Anbiya a’laihimussalam ke zamane mein yeh hoti thi keh jis qurbani ko ALLAH taala qubool farmate toh aasmaan se ek aag aati aur isko jala deti thi. Is zamana mein kuffar se jihad ke zariye jo maal e ghaneemat haath aata tha usko bhi aasmaan se aag nazil hokar khaa jati thi, yeh us jihad ke qubool hone ki alaamat samjhi jaati thi.

Ummate Muslimah sallallahu a’laihi wa sallam par ALLAH taala ka yeh khusoosi inaam huwa keh qurbani ka ghost aur maal e ghaneemat inke liye halal kar diye gaye. Hadith shareef mein RasoolAllah sallallahu a’laihi wa sallam ne apne khusoosi fazail ka zikr karte huwe farmaya اُحِلَّت لِی الغَنَاءِم (Yani mere liye maal e ghaneemat halal kardiya gaya) yani maal e ghaneemat ko istemal ki ijazat de di gayi.

Qurbani sunnat e Ibraheemi

Hazrat Ibraheem ka khwab:

Toh jab woh farzand (Hazrat Ismaeel) aisi umar ko pohunche keh Ibraheem a’laihissalam ke saath chalne phirne laga toh Ibraheem ne farmaya: Barkhurdar mein khwab mein daikhta hun keh mai tumko zubeh kar raha hun.

Ek raat Hazrat Ibraheem ne khwab dekha keh apne bete Hazrat Ismaeel ko zubeh kar rahe hain. Baaz riwayaat se maloom hota hai keh yeh khwab Hazrat Ibraheem ko 3 roz lagatar dikhaya gaya aur yeh baat tayshuda hai keh Anbiya a’laihimussalam ka khwab wahi hota hai, isliye is khwab ka matlab yeh tha keh ALLAH taala ki taraf se Hazrat Ibraheem ko hukum huwa hai keh apne ek laute bete ko zubeh kardein. Yun yeh hukum baraahe raast kisi farishte waghaira ke zariye bhi nazil kiya jasakta tha lekin khwab dikhane ka matlab yeh tha keh Hazrat Ibraheem ki ALLAH ke hukum se mohabbat kamil ke saath zahir ho, khwab ke zariye diye huwe hukum mein insan ke liye apne andar ke bahanon ki badi gunjaish thi, lekin Hazrat Ibraheem ne in bahanon raasta ikhtiyar karne ki bajaye ALLAH ke hukum ke aage sar ko jhuka diya.

Qurbani ke masail:

Qurbani ke janwar ki umar:- Qurbani ke janwar ki umar kam az kam darj zeel honi chahiye. Agar umar isse kam ho toh aise janwar ki qurbani durust nahi.

  • Oont kam az kam 5 saal
  • Gaaye, bhains kam az kam 2 saal
  • Bhed, bakri kam az kam 1 saal

Note: Bhed ka bacha agar ek saal se kuch kam ho magar daikhne mein. Ek saal ka hi maloom hota ho aur ise agar ek saal ki bhedon ke darmiyan khada kiya jaaye. Toh woh inke barabar hi nazar aaye toh iski qurbani bhi jaiz hai.

Jin janwaron ki qurbani nahi hoti:
  • Aisa janwar jiske jism ka koi bhi hissa poori tarah ya uska kuch hissa zayey hochuka hai ya kat chuka hai.
  • Bohat hi kamzor janwar jo qurban gaah tak khud chal ke bhi na jaasake.
  • Langda janwar

Oont, gaaye aur bhains waghaira mein zyada se zyada 7 aadmi shareek hosakte hain. Jabke bhed, bakri aur dunba waghaira mein hissa nahi hosakte.

Bhaid, bakri aur dunba waghaira ki qurbani sirf ek hi bande ki taraf se ki jaasakti hai.

Qurbani karne wale tamam afraad ki niyyat qurbani ki hi honi chahiye. Agar ghost hasil karne ki niyyat ki jaye toh qurbani zaaye hojati hai. Qubool nahi hoti. Oont, gaaye aur bhains waghaira mein shareek tamam afraad ki niyyat qurbani ki hi honi chahiye agar kisi ek ki niyyat bhi ghost ki huwi toh kisi ki qurbani qubool nahi hogi. Tamam afraad ki qurbani zaaye hojayegi.

 

Get instant solution to your problems and diseases in light of the holy Quran and Hadith.  Online Istikhara, spiritual treatment, and courses by Amil Mohammad Yousuf Sahab.  Contact us +92-3232344555 ‘WhatsApp’